Lyrics of song

Abhi Toh Saji Hain

abhi to saji hai muraadon ki duniya  – 2
abhi se ye duniya mitaayenge kaise
kahaani adhoori hai aur raat baaki
chiraag-e-tamanna bujhaayenge kaise

( umangen jawaan hain mohabbat jawaan hain
abhi jaan dene ki fursat kahaan hain )  – 2
bahaaron ke din hain bahaaron ki raaten
kizaan ko gale se lagayenge kaise
abhi to saji hain

( hansa kar rulaana bana kar mitaana
kahi tujh ko zaalim na samajhe zamana )  – 2
jo insaaf tera nahi hain to maalik
tere saamane sar jhukaayenge kaise

abhi to saji hain muraadon ki duniya
abhi se ye duniya mitaayenge kaise
abhi to saji hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *