Lyrics of song
Achha Ye Mohabbat Ka Asar
achchha ye mohabbat ka asar dekh raha hoon
tum hi nazar aate ho jidhar dekh raha hoon
kaabe ki zaroorat hai na butakaane ki kwaahish
jis simt dikhaate ho udhar dekh raha hoon
ye hai kashish-e-husn ki hai hasarat-e-deedaar
taaqat nahi baaqi hai magar dekh raha hoon
kam-kam sa hua jaata hai taaron ka jhalakana
aane ko hai paigaam-e-sahar dekh raha hoon