Lyrics of song

Aisa Bhi Ek Zamana Aata Hai

(aisa bhi ek zamana aataa hai ashiqui mein) – 2
(jab maut ki tamanna) – 2 hoti hai zindagi mein

chhodunga main na daaman ai yaar zindagi mein
(jeena bhi ashiqui mein) – 2 marna bhi ashiqui mein
aisa bhi ek zamana aataa hai ashiqui mein
aisa bhi ek zamana

aankhon ke jharokon se dekha karenge tumko – 2
markar bhi hum to hamdam chaha karenge tumko
(aansu qubul mujhko) – 2 tere pyar ke khushi me
chhodunga main na daaman ai yaar zindagi mein
chhodunga main na daaman

chahat ke phool dilbar janm-o-janam khilenge – 2
bichhade kabhi jo marke jannat me phir milenge
(hai noor aasaman ka ) – 2 chahat ki chandani mein
aisa bhi ek zamana aataa hai ashiqui mein – 2
(jab maut ki tamanna) – 2 hoti hai zindagi mein
chhodunga main na daaman ai yaar zindagi mein

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *