Lyrics of song

Angna Mein Baba Duaare Pe Maa

angna mein baba duaare pe maa
kaise aaye gori ham tumhare ghar maa
khet gaye baba bazaar gayi maa
akeli hu ghar maa tu aa ja baalma

ghar maan jo aaive to hamein kya khilaive
garam garam halva aur poori pakaive
naram naram haathon se kha jaa baalma
angna mein baba …

halwa poori khaive to nindiya na sataive
nindiya mein tohare liye aanchal bichhaive
sijiya ki kismat jaga ja baalma
khet gaye baba …

kya hoga bazaar se maa jo aayi
kah doongi maa ye hai tera jamaai
haath mera maangne ko aa jaa baalma
angna mein baba …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *