Lyrics of song

Apne liye jeeye to kya jeeye

Khudgaz duniya mein ye, insaan ki pehchaan hai
Jo paraayi aag mein jal jaale, woh insaan hai

Apne liye jeeye to kya jeeye – 2
Tu jee, eh dil, zamaane ke liye
Apne liye jeeye to kya jeeye…

(Bazaar se zamaane ke,
kuchh bhi na ham kharidenge) – 2
Haan, bechkar khushi apni, logo ke gham kharidenge
Bujhte diye jalaane ke liye – 2
Tu jee, eh dil, zamaane ke liye
Apne liye jeeye to kya jeeye…

Apni khudi ko jo samjha usne khuda ko pehchaana
Aazaad fitratein insaan, andaaz kyu bhula maana
Sar ye nahi jhukaane ke liye – 2
Tu jee, eh dil, zamaane ke liye
Apne liye jeeye to kya jeeye…

Himmat buland hai apni patthar si jaan rakhte hain
Qadmo tale zameen to kya,
Ham aasmaan rakhte hain
Girte huwo ko uthhaane ke liye
Tu jee, eh dil, zamaane ke liye
Apne liye jeeye to kya jeeye…

Chal aaftaab lekar chal chal mehtaab lekar chal – 2
Tu apni ek thhokar mein sau inqalaab lekar chal
Zulm aur sitam mitaane ke liye
Tu jee, eh dil, zamaane ke liye
Apne liye jeeye to kya jeeye…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *