Lyrics of song

Aur Hum Tum

Parbaton pe baadalon ki zulf khul gayi
Oas jagmagaayi shaakh shaakh dhul gayi
Jaage nazaare, jaagi bahaarein
Jaage zameen aasmaan
Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum

Thandi hawaayein, ujli fizaayein
Maheka hua yeh sama
Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum
Gaata hai mausam, gaate hain panchhi
Gaati hain yeh vaadiyaan
Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum

Phool ko koi kiran jo choomne lagi
Zindagi bahaar banke jhoomne lagi

Phool ko koi kiran jo choomne lagi
Zindagi bahaar banke jhoomne lagi
Raahon mein rangon aur khushbuon ke
Nikle haseen kaarwaan

Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum
Thandi hawaayein, ujli fizaayein
Maheka hua yeh sama

Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum
Ho gayi hai reshmi yeh narm roshni
Saans mein ghula hua hai geet sa koi

Ho gayi hai reshmi yeh narm roshni
Saans mein ghula hua hai geet sa koi
Khoyi dishaayein, khoyi hain raahein
Khoye hai saare nishaan

Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum
Thandi hawaayein, ujli fizaayein
Maheka hua yeh sama

Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum
Gaata hai mausam, gaate hain panchhi
Gaati hain yeh vaadiyaan

Aur hum tum, aur hum tum, aur hum tum

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *