Lyrics of song

Baatein Hawa Hai Saari, Saari Ki Saari

impress karne ke liye to log do sau rupai ke phool kharid lete hai
par yeh do ghante mein mar jaate hai
pata nahi kya impress karna chaahate hai log phool de kar ke
(baatein hawa hai saari, saari ki saari
kyun hai kyun hai kyun hai kyun hai kyun….) – 2
rukhi si khaali khaali, ulti hi duniya saari
kyun hai kyun hai kyun hai kyun hai kyun….
kehna jo chaahe, kyun keh na paaye
aankhein jo bole teri hadon se kyun na bole
baatein hawa hai saari, saari ki saari
kyun hai kyun hai kyun hai kyun hai kyun….
rukhi si khaali khaali, ulti hi duniya saari
kyun hai kyun hai kyun hai kyun hai kyun….

impress karne ke liye mein aapko royal albert hall ka music sunaane le ja sakta tha
lekin agar app music sunte sunte emotional ho gayi
toh logo ko lagega maine app ko rula diya
(dekho na dekho na lagta ajooba hai
yeh khud hi jaane kya isaka mansooba hai) – 2
6 foot ki deewaar pe kyun, kyun dil ki khidki nahi
yeh dil ki baaton ko bhi jaanega nahin nahin
pallle pada hai kyun mere hi tauba
apani hi kehta hai, apani hi sunta hai, dekho na
baatein hawa hai saari, saari ki saari
kyun hai kyun hai kyun hai kyun hai kyun….
rukhi si khaali khaali, ulti hi duniya saari
kyun hai kyun hai kyun hai kyun hai kyun….

yeh sunset ka light, moonlight ka concept bhi use kiya ja sakata hai impress karne ke liye
na to apako mera chehra dikhega, na hi khaana
(seedhe raste kabhi yeh na chalne waala
rab ne ise tedhe sache mein hai dhaala) – 2
bande ko zoo mein rakho, khulla na iss chhodo
khulla jo chhoda toh, rabba mere jaane kya ho
impress karne ke liye 25 lakh ka haar bhi de sakta tha
lekin bina price tag ke apako lagega 25 rupay ka hai
aur price tag ke saath de nahi sakta
rehta hai jaane kaun se jahaan mein
dekha na jaana na maine toh aisa yahaan koyi
baatein hawa hai saari, saari ki saari
kyun hai kyun hai kyun hai kyun hai kyun….
rukhi si khaali khaali, ulti hi duniya saari
kyun hai kyun hai kyun hai kyun hai kyun….

haan agar aap mujhe impress karna chaahati hai toh, just me remember
maria sharapova, anna kournikova, uh! what legs
kehna jo chaahe, kyun keh na paaye
aankhein jo bole teri hadon se kyun na bole
baatein hawa hai saari, saari ki saari
kyun hai kyun hai kyun hai kyun hai kyun….
rukhi si khaali khaali, ulti hi duniya saari
kyun hai kyun hai kyun hai kyun hai kyun….

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *