Bada Ajib Mohabbat Ka Ye Fasana Hai
bada ajib mohabbat ka ye fasana hai -2
dil hai tera tu kisi aur ka deewana hai
bada ajib mohabbat ka ye fasana hai
jo jisko chahata hai woh usse nahi milta – 3
kaisa dastoor hai duniya ka kya zamana hai – 2
dil hai tera tu kisi aur ka deewana hai
bada ajib mohabbat ka ye fasana hai
tu kis tarah se bachega nazar ke tironse – 3
har ek simt se tera hi dil nishana hai – 2
dil hai tera tu kisi aur ka deewana hai
bada ajib mohabbat ka ye fasana hai
panaah lega iss chaman mein kis shajar par tu -3
har ek shaakh pe mera hi aashiyana hai -2
dil hai tera tu kisi aur ka deewana hai
bada ajib mohabbat ka ye fasana hai