Lyrics of song

Baharen agar tum se daman bachaye

"Vaabastha kabhi jaamo-subu se na hua
Kuch phayada koyal ki bhi ku se na hua
Aa kabr pe meri ke mera zimma hai
Tu mast agar mitti ki boo se na hua

Paigaamein ajal layee thi layee hogi
Tab gham ki ghata chayee thi chayee hogi
Yeh jaam yeh khushboo yeh paharain yeh sharaab
Glushan mein khiza aayee thi aayee hogi"

Baharen agar tumse daaman bachayein mere zakhm se taazgi maang lena

Agar tumse suraj kabhi ruth jaye mere jaam se roshni maang lena

Gaya aa ke aangan se khusboo ka mausam, ke mausam ko ek roz jaana tha yun bhi

Abhi daaliyon par bahut phool honge, kisi phool se dilkashi maang lena
Baharen agar tumse daaman bachayein mere zakhm se taazgi maang lena

Kabhi bojh gham ka jo bad jaaye dil par to ro lena tanhaiyon se lipat kar

Labon par kabhi aayen hafrein shikayat to deewar se khamoshi maang lena
Agar tumse suraj kabhi ruth jaye mere jaam se roshni maang lena
Baharen agar tumse daaman bachayein mere zakhm se taazgi maang lena

Yeh lambi ghani raat kaise kategi, sahara to ek chahiye zindagi ko

Agar shamma tumse kare bewafayee, kisi saaye se dosti maang lena
Agar tumse suraj kabhi ruth jaye mere jaam se roshni maang lena
Baharen agar tumse daaman bachayein mere zakhm se taazgi maang lena
Baharen agar tumse daaman bachayein mere zakhm se taazgi maang lena

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *