Lyrics of song

Bangaal Ki Main Shaam-O-Sahar Dekh Raha Huun

Bangaal Ki Main Shaam-O-Sahar Dekh Raha Huun
Har-Chand Ke Huun Duur Magar Dekh Raha Huun

Iflaas Ki Maari Huyi Makaluuq Sar-E-Raah
Be-Gor-O-Qafan Kaak Basar Dekh Raha Huun

Insaan Ke Hote Huye Insaan Ka Ye Hashr
Dekha Nahin Jaata Hai Magar Dekh Raha Huun

Rahamat Ka Chamakane Ko Hai Phir Nayyar-E-Taabaan
Hone Ko Hai Is Shab Ki Sahar Dekh Raha Huun

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *