Lyrics of song

Bhari barish mein bhi har waqt

Saakiya baat yeh meri dil-e-maikhwaar mein rakh

Ek takhti pe yeh likh ke kisi baazaar mein rakh
Mar jaoon to mitti se meri eent bana
Aur us eent ko maikhaney ki deewar mein rakh

Vakt banjara hai jab laad chalega ek din
Dekh lena ke yahi ho ke rahega ek din
Meri mitti ko bhi dhaalega koi kuzagar
Toot kar mera badan jaam banega ek din
Toot kar mera badan jaam banega ek din"

Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai

Na jane khaake-maikhaana mein kis ka dil dhadakta hai

Hamarey dil ka koi zakhm hai ya dhyaan hai uska

Na jaane kaun hai ghar mein ke saara ghar mehakta hai
Na jaane kaun hai ghar mein ke saara ghar mehakta hai
Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai

Nahin maaloom kya rishta hai paimane se aankhon ka

Chalak padti hai aankhein jab bhi paimana Chalakta hai
Chalak padti hai aankhein jab bhi paimana Chalakta hai
Na jane khaake-maikhaana mein kis ka dil dhadakta hai
Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai

Dil-e-betaab to kab hua khamosh ro rokar

To phir yeh kaun mujh mein chup ke raaton ko sisakta hai
To phir yeh kaun mujh mein chup ke raaton ko sisakta hai
Na jane khaake-maikhaana mein kis ka dil dhadakta hai
Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai
Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *