Lyrics of song

Bholi Baatein Sharam Ka Parada Maujon Ki Rawaanisi

(bholi baatein, sharam ka parada, maujon ki rawaanisi – 2
mere khaabon mein aaye jaaye – 2, ladaki ek deewaanisi) – 2
bholi baatein, sharam ka parada, maujon ki rawaani si

(husn ko usake sajada karuun main, aur kisiko kya jaanu
maan liya hai usakohi sab kuchh, aur kisi ko kya maanu)- 2
kisso mein woh, usakahi charcha, baaki baat puraanisi
mere khaabon mein aaye jaaye – 2, ladaki ek deewaanisi
bholi baatein, sharam ka parada, maujon ki rawaani si

(aasmaan, jameen, chaand, taare, sabke sab hai usape fida
koi kahin us jaisa nahi hai, sabse alag woh, sabse juda) – 2
roop salona, nain kitaabi, prem ki kahaanisi
mere khaabon mein aaye jaaye – 2, ladaki ek deewaanisi
bholi baatein, sharam ka parada, maujon ki rawaani si – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *