Lyrics of song

Bhula Na Sakoge Mujhe Bhulkar Tum

bhula na sakoge mujhe bhulkar tum
bhula na sakoge mujhe bhulkar tum
main aksar tumhen yaad aata rahunga
kabhi khwaab bankar kabhi yaad bankar
kabhi khwaab bankar kabhi yaad bankar
main neenden tumhari churata rahunga
bhula na sakoge mujhe bhulkar tum

kabhi jee raha hoon kabhi marr raha hoon
mujhe na pata main kya kar raha hoon
ho kabhi bujh raha hoon kabhi jal raha hoon
kadam rokte hai magar chal raha hoon
main yun hi chalunga milo na milo tum
main yun hi chalunga milo na milo tum
main aawaz dekar bulata rahunga
bhula na sakoge mujhe bhulkar tum

satayegi jab jab tumhen bekaraari
tumhe yaad aayegi mohabbat hamari
ho sunoge kahi jo mohabbat ki baaten
tumhen yaad aayenge woh din woh raaten
guzaari jo tumne baahon mein meri
guzaari jo tumne baahon mein meri
main sab yaad tumko dilata rahunga

bhula na sakoge mujhe bhulkar tum
bhula na sakoge mujhe bhulkar tum
main aksar tumhen yaad aata rahunga
kabhi khwaab bankar kabhi yaad bankar
kabhi khwaab bankar kabhi yaad bankar
main neenden tumhari churata rahunga
bhula na sakoge mujhe bhulkar tum
bhula na sakoge mujhe bhulkar tum

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *