Lyrics of song

Bilqis (Jinhe Naaz Hai)

Mera Naam Bilqis Yakub Rasul
Mujhse Hui Bas Ek Hi Bhul
Ki Jab Dhundte The Vo Ram Ko
To Main Kharhi Thi Raah Mein
Pehle Ek Ne Puchha Na Mujhe Kuch Pata Tha
Duje Ko Bhi Mera Yehi Javab Tha
Itno Ne Puchha Ki Mera Abb Saval Hai Ki
Jinhe Naaz Hai Hind Par Vo Kahan The
Jinhe Naaz Hai Vo Kaha Hai

Mera Naam Shriman Satyendra Dubey
Jo Kehna Thha Vo Keh Chukey
Ab Parhey Hain Rah Mein
Dil Mein Liye Ik Goli

Bas Itna Kasur Ki Hamne Likha Thha
Vo Sach Jo Har Kisi Ki Zuban Thha
Par Sach Yahan Ho Jatey Hain Zahriley

Jinhe Naaz Hai Hind Par Vo Kahan The
Jinhe Naaz Hai Vo Kahan Hain

Mujhe Kehte Hain Anna Manjunath
Maine Dekhi Bhatakti Ek Laash
Zamir Ki Beech Sarhak Lakhimpur Kherhi

Adarsh Phasan Jahan Naaron Mein
Aur Chor Bharey Darbaron Mein
Vahan Maut Akhlaq Ki Hai Ik Khabar Baasi

Jinhe Naaz Hai Hind Par Vo Kahan Hain
Jinhe Naaz Hai Vo Kahan Hain

Mazha Nau Aahe Navleen Kumar
Unnees June Unnees Bar
Unnees Unnees Unnees Unnees
Unnees Baar

Unnees Unnees Unnees Unnees
Unnees Unnees Unnees Unnees
Unnees Unnees Unnees Unnees
Unnees Baar

Looto Dehaat Kholo Bazaar
Nallasopara Aur Virar
Chheeno Zameen Hamse Hamein
Bhejo Pataal

Jinhe Naaz Hai Hind Par Vo Kahan Hain
Jinhe Naaz Hai Vo Kahan Hain – 4

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *