Lyrics of song

Bite Nahin Raat Sanam Karo Koyi Baat Sanam

bite nahin raat sanam karo koyi baat sanam
duniya soye hamein nind laage na
mile bhi to duur se ham koyi dekhe ye sitam
main to jaaguun meri taqadir jaage na

maano sanam kategi ye raat nahin jo hamin saath nahin
kya huwa jo tera mera saath nahin ye koyi baat nahin
na bano ji diye dete hain gavaahi tere naina
bite nahin raat sanam

khidaki khuli chanda nazar aa hi gaya mujhe tadapa hi gaya
naam tera zubaan par lahara hi gaya lab tak aa hi gayaa
jo labon pe hai vo kah de jo hai dil mein vo na kahana
mile bhi to duur se

raat dhali chaandaniyaan zard bhi hai ye hava sard bhi hai
haan ai piya hava zara sard bhi hai dil mein kuchh dard bhi hai
na kaha tha meri jaan hamase kabhi duur na rahana
bite nahin raat sanam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *