Lyrics of song

Bulbul Aa Tuu Bhi Gaa

bulbul aa tuu bhi gaa
pyaar ke gaane main gaauun
tuu bhi gaa

saaz bharaa hai gale men tere
soz bharaa hai dil men mere
gaa gaa ke tuu ji bahalaaye
main kyaa karuun, tuu bataa
tuu bataa, bulbul aa, aa~
pyaar ke gaane main gaauun
tuu bhi gaa-

jab pyaar dil men aataa
to karaar dil se jaataa
sharamaanaa,
jhunjhalaanaa,
ghabaraanaa,
ek raaz ke lakh bahaane
phir bhi naa rahe chhupaa
naa chhupaa, bulbul aa, aa
pyaar ke gaane main gaauun
tuu bhi gaa

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *