Lyrics of song

Chaand Taare Phool Shabnam

chaand taare phool shabnam tere bas mein kya nahin
koyi aisi shay nahi jismein tera jalwa nahin
dil mein tu hai dhadknon mein tu hai meri jaaneja
tere mere bich mein hai raasta parda kahaan
(tu jahaan hain, main wahaan hoon
main jahaan hoon tu wahaan) – 2

(jhoot kehta hoon toh aaina uthaakar dekh le
apani peshaani ko ghoonghat mein chhupaakar dekh le) – 2
chhup nahi sakte meri jaan mere honthon ke nishaan, tu jahaan hain
(tu jahaan hain, main wahaan hoon
main jahaan hoon tu wahaan) – 2

tera nooraani mehal tu rehanewaala arsh ka
farsh pe tune bikhera hai ujaala arsh ka
tere jalwon se hai roshan mera mitti ka makaan, tu jahaan hain
(tu jahaan hain, main wahaan hoon
main jahaan hoon tu wahaan) – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *