Lyrics of song
Chalo Chale Re Saajan Dheere Dheere
la: chalo chalen re saajan dheere-dheere
balam dheere-dhiire safar hai pyaar ka
he: khoi khoi hai ye raat rangeeli
nazar hai nasheeli sama eeqaraar ka …
la: aankhon mein khushi ki laharen
aur dil mein muhabbat bhi javaan
he: do dil hain basaane
ik pyaar ki duniya aaj yahaan
do: ik pyaar ki duniya aaj yahaan …
he: gum-sum si hai ye duniya saari
khaamosh nadi ke kinaare hain
la: hai chaand mere pahalu mein
daaman mein chamakate taare hain
do: daaman mein chamakate taare hain .