Lyrics of song

Chanda Ki Chaandani Mein Haay Raama Haay Re Raama

chanda ki chaandani mein
haay raama haay re raama
jiya mera dol gaya – 2
koyi kaanon mein ras ke bhare bol – 2
bol gaya
haay raama haay re raama
jiya mera dol gaya – 2

daga na dena – 2
aji ho rasiya
kisi ki haay na lena
daga na dena
koyi ye na kahe ras ka lobhi matalab ke bol
bol gaya
haay raama haay re raama
jiya mera dol gaya – 2

chanda ki chaandani mein
haay raama haay re raama
jiya mera dol gaya – 2

neh lagaana sahal hai nibhaana bada mushkil – 2
bade naazon se paala hai tuut na jaaye mera dil
kahin kahati na rah jaayuun sakhi karejawa pe haan
jiya anamol gaya
haay raama haay re raama
jiya mera dol gaya – 2

chanda ki chaandani mein
haay raama haay re raama
jiya mera dol gaya – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *