Lyrics of song

Dhak Chik Dana

–CHORUS–
(Dhak chik dana, ta din din
Dhak chik dana) – 2
–MALE–
Jisse dil ka dushman samajhte rahe hain
–CHORUS–
Dhak chik dana, ta din din
Dhak chik dana
–MALE–
Jisse dil ka dushman samajhte rahe hain
Voh dildaar ho jaaye to kya kare
–CHORUS–
(Dhak chik dana, ta din din
Dhak chik dana) – 2
–FEMALE–
Yeh dil hi bataayega, dil hi se poochho
–CHORUS–
Dhak chik dana, ta din din
Dhak chik dana
–FEMALE–
Yeh dil hi bataayega, dil hi se poochho
Agar pyaar ho jaaye to kya kare
–CHORUS–
(Dhak chik dana, ta din din
Dhak chik dana) – 2
–MALE–
Nazar aa raha hai ke tum pyaar karte ho
Yeh chehre ki rangat, yeh maasoom surat
Mohabbat nazar aa rahi hai
Chhupaane se chhupti nahin hai mohabbat
Mohabbat nazar aa rahi hai
–CHORUS–
Nazar aa raha hai ke tum pyaar karte ho
–MALE–
Nazar hi nazar mein agar dil ki haalat
–CHORUS–
Dhak chik dana, ta din din
Dhak chik dana
–MALE–
Nazar hi nazar mein agar dil ki haalat
Ka izhaar ho jaaye to kya kare
–CHORUS–
(Dhak chik dana, ta din din
Dhak chik dana) – 2
–FEMALE–
Yeh dil hi bataayega, dil hi se poochho
Agar pyaar ho jaaye to kya kare
–CHORUS–
(Dhak chik dana, ta din din
Dhak chik dana) – 2
–FEMALE–
Nazar aa raha hai ke tum pyaar karte ho
Nazar ka patakna, dilon ka dhadakna
Nahin hai kisi ke bhi bas mein
Kisi ko pata kya kahan rang laaye
Yeh baatein yeh rasmein yeh kasmein
–CHORUS–
Nazar aa raha hai ke tum pyaar karte ho
–FEMALE–
Agar dil ghamon ki dava karte karte
–CHORUS–
Dhak chik dana, ta din din
Dhak chik dana
–FEMALE–
Agar dil ghamon ki dava karte karte
Jo beemaar ho jaaye to kya kare
–CHORUS–
(Dhak chik dana, ta din din
Dhak chik dana) – 2
–MALE–
Jisse dil ka dushman samajhte rahe hain
Voh dildaar ho jaaye to kya kare
–CHORUS–
(Dhak chik dana, ta din din
Dhak chik dana) – 2
–FEMALE–
Yeh dil hi bataayega, dil hi se poochho
Agar pyaar ho jaaye to kya kare
–CHORUS–
(Dhak chik dana, ta din din
Dhak chik dana) – 4

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *