Lyrics of song

Dhanak Ka Rang Hai

dhanak ka rang hai bikhra mere duppate pe
saari khushbu meri baahon mein simat aayi hai
paanv padte nahi zameen pe mere
mujhpe ajeeb si masti yeh umad aayi hai
aaj lagta hai main hawaon mein hu
aaj itni khushi mili hain
aaj bas mein nahi hai mann mera
aaj itni khushi mili hain
aaj lagta hai main hawaon mein hu
aaj itni khushi mili hain

haya ki shokhiyaan lipti hai mere aanchal se – 3
(aaisa lagta main dulhan hu bani
aaj itni khushi mili hain) – 2

woh ek pal ki mulakaat rang laayi hain – 3
(umra bhar ke liye mehmaan bani
aaj itni khushi mili hain) – 2

aaj lagta hai main hawaon mein hu
aaj itni khushi mili hain – 4

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *