Lyrics of song

Dharti Hai Pyaari Pyaari

Dharti hai pyaari pyaari
Ambar hai pyaara pyaara
Par sab se pyaara hai pyaar hamaara
Maange na mehn chaupaare
Maangi na chaand sitaare
Kaafi hai jeene ko bas pyaar hamaara
Pyaar hai sajda, pyaar hai pooja
Pyaar hai saajan
Pyaar hai karuna, pyaar tapasya
Pyaar hai arpan
Pyaar hai vaada, pyaar vachan hai
Pyaar hai bandhan

–CHORUS–
Kaanha ki bansi gaaye, Radha ki paayal baaje
Jhoome re pyaar mein jhoome Vrindaavan saara

–FEMALE–
Sundar ek bhaavna hai, mann ki aaraadhna hai
Paawan hai pyaar jaise ganga ki dhaara
Bin tulsi ke aangan kaisa
Bin phoolon ke gulshan kaisa
Bin barkha ke saawan kaisa
Bin khushboo ke chandan kaisa
Bina pyaar dil soona soona
Bina pyaar ke jeevan kaisa

–MALE–
Ho, ho, ho ho ho ho
Pyaar meet hai, pyaar geet hai
Pyaar taal hai, pyaar hai sargam
Pyaar kasak hai, pyaar mahek hai
Pyaar phool hai, pyaar hai shabnam
Pyaar sukun hai, pyaar junoon hai
Pyaar tadap hai, pyaar nasha hai
Pyaar haya hai, pyaar dua hai
Pyaar bandagi, pyaar khuda hai
Pyaar zindagi hai
O ho ho pyaar zindagi hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *