Lyrics of song

Dil ko tumse pyaar hua

Mm hm hm, mm hm hm hm hm
Mm hm hm hm hm, mm mm mm mm mm mm mm
Dil ko tumse pyaar hua, pehli baar hua
Tumse pyaar hua
Main bhi aashiq yaar hua, pehli baar hua
Tumse pyaar hua
(Chhaayi hai betaabi
Meri jaan, kaho main kya karoon) – 2
Dil ko tumse pyaar hua, pehli baar hua
Tumse pyaar hua
Main bhi aashiq yaar hua, pehli baar hua
Tumse pyaar hua
Oh, kho gaya main khayaalon mein
Ab neend bhi nahin aankhon mein
Karvatein bas badalta hoon
Ab jaagta hoon main raaton mein
Ab doori na sehni, har lamha kehta hai
Na jaane haal mera aisa kyoon rehta hai
Main deewana tera ban gaya jaane jaana
Main fasaana tera ban gaya jaane jaana
Haseena gori gori, churaaya chori chori
Churaaya dil chori chori chori chori chori
Dil ko tumse pyaar hua, pehli baar hua
Tumse pyaar hua
Main bhi aashiq yaar hua, pehli baar hua
Tumse pyaar hua
Aarzoo hai mere sapnon ki
Baitha rahoon teri baahon mein
Sirf tu mujhe chaahe ab
Itna asar ho meri aahon mein
Tu keh de haske to tod doon main rasmon ko
Marke bhi na bhooloon main teri kasmon ko
Main to aaya hoon yahan pe bas tere liye
Tera tan mann sab hai mere liye
Hai kya haseen nazaara, sama hai pyaara pyaara
Gale laga le yaara yaara yaara yaara yaara
Main bhi aashiq yaar hua, pehli baar hua
Tumse pyaar hua
(Chhaayi hai betaabi
Meri jaan, kaho main kya karoon) – 2
Kya karoon, kya karoon, kya karoon

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *