Diwaali Ki Raat Piya Ghar Aane Waale Hain
(Diwaali Ki Raat Piya Ghar Aane Waale Hain
Sajan Ghar Aane Waale Hain
Balam Ghar Aane Waale Hain) – 2
(Jhum-Jhum Kar Diye Ki Baati
Mere Dil Ko Kare Ishaara) – 2
(Jaan Gayi Main Aane Waala
Hai Tera Saajan Pyaara) – 2
Diwaali Ki Raat Piya Ghar Aane Waale Hain
Sajan Ghar Aane Waale Hain
Balam Ghar Aane Waale Hain
(Jin Galiyon Se Aaye Balamawa
Un Galiyon Mein Nain Bichhaayuun
(Qadam-Qadam Par Aashaaon Ke
Deep Jalaati Jaayuun) – 2
Diwaali Ki Raat Piya Ghar Aane Waale Hain
Sajan Ghar Aane Waale Hain
Balam Ghar Aane Waale Hain
(Aaj Raat Aankhon-Aankhon Mein
Kah Dungi Sab Dil Ki Baatein) – 2
(Roz-Roz Kab Aati Hain Ye
Madur Milan Ki Raatein) – 2
(Diwaali Ki Raat Piya Ghar Aane Waale Hain
Sajan Ghar Aane Waale Hain
Balam Ghar Aane Waale Hain) – 2