Lyrics of song

Doob Jaaye Jo Kismat Ka

doob jaaye….
doob jaaye jo kisamat ka taara
koi hota nahin phir sahaara-2
doob jaaye………..

O.. OO.. chand sooraj ho roshan hamein kyaa
O.. OO.. koi kheela ho gulshan hamein kyaa
is taraha hai jeevan hamaara
koi hota nahin phir sahaara
doob jaaye………..

aisaa uljaa hai kaanto men daaman,
apani parchhain hai apani dushman
laakh toofan hai
laakh toofan hai aur ek bechaara,
koi hota nahin phir sahaara
doob jaaye………..

OO.. reha gaee aarzoo nazar men
OO.. kab phansi apani naiyaa bhanwar men
jab nazar aa rahaa tha kinaara
koi hota nahin phir sahaara
doob jaaye………..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *