Lyrics of song

Duniya Jab Jalti Hai

duniya jab jalti hai haai re bada mazaa aata hai – 3
kisi ki nazar buri bankar chhuri jab dil pe chalti hai
haai re bada mazza hain
duniya jab jalti hai haai re bada mazaa aata hai

zindagi kya hai ek tamanna hi toh hain
tamanna ki suno saahib yahi tareef hoti
yeh reh jaaye jo dil mein toh badi takleef hoti hain
zindagi kya hain ek tamanana hi toh hain
aur yeh tamanana jab tadap tadap kar seene se nikalti hai
haai re bada mazaa hain
duniya jab jalti hai haai re bada mazaa aata hai

zindagi kya hai ek  haseena hi toh hain
haseena sirf aurat ko nahi kehte zamane mein
yahi ek naam aakhir kyon likha hain har fasane mein
toh zindagi kya hain ek haseena hi toh hain
aur yeh haseena jab pyar ki sez par karwatein badalti hai
haai re bada mazaa hain
duniya jab jalti hai haai re bada mazza aata hai
kisi ki nazar buri bankar chhuri jab dil pe chalti hai
haai re bada mazaa hain
duniya jab jalti hai haai
bada mazaa – 2 aata hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *