Duniya Ke Haadson Se
duniya ke haadson se tune mujhe bachake – 2
bemaut maar daala – 2 ehsaan jata jata ke

tera chamakte suraj ehsaan main na lunga – 2
ehsaan main na lunga
kar lunga main ujaala khud apana ghar jalake – 2
bemaut maar daala – 2 ehsaan jata jata ke
duniya ke haadson se tune mujhe bachake – 2
main toot bhi gaya toh mujh mein chamak rahegi – 2
mujh mein chamak rahegi
aaina pathharon se kehta hain muskurake – 2
bemaut maar daala – 2 ehsaan jata jata ke
duniya ke haadson se tune mujhe bachake – 2
tumse bichhad ke aalam mein ham jee nahi sakenge – 2
hum jee nahi sakenge
dekho daga na dena apana mujhe banake – 2