Ek Baar Phir Se Aaja
ek baar phir se aaja
dil mein mere sama ja
ek baar phir se aaja
ai zindagi ki raahat
ai jannaton ki jannat
ek baar phir se aaja
dil mein mere sama ja
ek baar phir se aaja
hooren nisaar tujh par
sadaqe bahaar tujh par
( jaan-e-bahaar tu hai
dil ka qaraar tu hai ) -2
tujhko kasam haya ki
apni har ek ada ki
ik baar muskara ja
dil mein mere samaan ja
ek baar phir se aaja
dekha hai jab se tujhko
deewana ho raha hai
main is se aur ye mujhse
begaana ho raha hai
dil hai magar nahi hai
sab kuch hai par nahi hai
tere bagair duniya
ya khwaaab ya khilauna
is khwaab se jaga ja
dil mein mere samaan ja
ek baar phir se aaja -2
dil mein mere samaan ja
ek baar phir se aaja