Lyrics of song
Faisala Tumako Bhuul Jaane Ka
Faisala Tumako Bhuul Jaane Ka
Ik Naya Khaab Hai Diwaane Ka
Dil Kali Ka Laraz Laraz Utha
Zikr Tha Phir Bahaar Aane Ka
Hausala Kam Kisi Mein Hota Hai
Jit Kar Kud Hi Haar Jaane Ka
Zindagi Kat Gayi Manaate Huye
Ab Iraada Hai Ruuth Jaane Ka
Aap Shahazaad Ki Na Fikr Karein
Wo To Aadi Hai Zakm Khaane Ka