Lyrics of song

Gali Gali Seeta Roye

duniya walo raam-seeta ki nayi kahani sun lo
vaalmeek se khoob suni ab meri zubaani sun lo

gali-gali seeta roye aaj mere desh mein
seeta dekhi raam dekha aaj naye bhesh mein

tumne naam suna seeta ka main use dekh aaya hu
o dharm ke thekedaaron main ek nayi raamaayan laaya hu
woh seeta thi raamaayan ki jeeti jaagti
roote raam se jo khoya pyaar maangti
gali-gali seeta roye …

raam ki leela dekh chuke koi uski leela jaane na
raam yahaan seeta yahaan par koi pehchaane na
aage badh ke dekh deewane tu hi inka raam hain
iske dil ko cheer ke dekh liya tera naam hain
gali-gali seeta roye …

dharti phati seeta chhupi kahi nazar aaye na
ye woh seeta hai ki jise dharati bhi chhupaaye na
ye bhi seeta vo bhi seeta fark dekho bhaag mein
vo aag se laut aayi ye hai abhi aag mein
gali-gali seeta roye …

behan jis bhai ki hai vo bhi khafa ho gaya
maa ye kisi laal ki hai woh bhi juda ho gaya
janak seeta chhod de to kaha jaaye jaanaki
maa ise pehachaan ke bhi phir nahi pehchaanti
gali-gali seeta roye …

kyon bharosa nahi ispe kya ye pyaar jhootha hai
bolo-bolo aansuon ka kya ye haar jhootha hai
iski katha jhoothi hai to jhootha bhagwan hai
jhoothi hai raamayan saari aur jhootha raam hai
dharm jhootha prem jhootha jhootha hindustaan hai
deviyon pe dosh lage aaj mere desh mein
seeta to hai raam nahi aaj mere desh mein
gali-gali seeta roye …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *