Lyrics of song

Gam-E-Aashiyaana Sataayega Kab Tak

gam-e-aashiyaana sataayega kab tak
mujhe mera dil yoon rulaayega kab tak

bana kar bigaade hain ghar tuune laakhon
falak ye tamaashe dikhaayega kab tak

sitam aaj karte hain insaan pe insaan
tu insaan ko insaan banaayega kab tak

teri aaj duniya jahannum bani hai
tu shaan-e-kudaai chhipaayega kab tak

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *