Lyrics of song
Garibon Par Daya Kar Ke
Garibon par dayaa kar ke
bada ehsaan karte ho
inhen buzdil banaa dene ka
tum saamaan karte ho
inhi ko luutate ho aur
inhen khairaat dete ho
bade tum dharm waale ho
ye achchhaa daan karte ho
daro uss waqt se jab
rang badlega zamaane ka
ye tumase lenge badlaa
inkaa ab apamaan karate ho