Ghairo pe karam
Ghairo pe karam apno pe sitam, eh jaan-e-wafa ye zulm na kar
Rehne de abhi thoda sa bharam,
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam …
Ham bhi the tere manzoor-e-nazar, dil chaaha to ab iqraar na kar
Sau teer chala seene pe magar, begaano se milkar vaar na kar (2)
Be-maut kahi mar jaaye na ham
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam …
Ham chaahne waale hain tere, yu hamko jalaana thheek nahi
Mehfil mein tamaasha ban jaaye, is darja sataana thheek nahi (2)
Mar jaayenge ham, mit jaayenge ham
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam …