Lyrics of song

Haan judaai se darta hai dil (male)

Haan judaai se darta hai dil
Haan judaai se darta hai dil
Maut se to main darta nahin
Aur darta to sun le sanam
Sun le sanam
Pyaar tujh se main karta nahin
Pyaar tujh se main karta nahin

Haan judaai se darta hai dil
Haan judaai se darta hai dil

Main akela na reh paoonga
Door tak raat hi raat hai
Zindagi ek alag cheez hai
Zinda rehna alag baat hai
Umr kaise guzar paayegi
Umr kaise guzar paayegi
Ek pal jab guzarta nahin
Aur darta to sun le sanam
Sun le sanam
Pyaar tujh se main karta nahin
Pyaar tujh se main karta nahin

Haan judaai se darta hai dil
Haan judaai se darta hai dil

Gham ka mausam guzarta nahin
Zakhm yaadon ka bharta nahin
Raat parbat hai katti nahin
Din hai dariya utarta nahin
Meri neendon mein aa jayegi
Dhoop suraj ka khanjar liye
Todne mera dil aayega
Chaand haathon mein paththhar liye
Dil darata hai mujh ko magar
Dil darata hai mujh ko magar
Main yakin dil pe karta nahin
Aur darta to sun le sanam
Sun le sanam
Pyaar tujh se main karta nahin

Haan judaai se darta hai dil..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *