Lyrics of song

Halke Halke Chalo Saanvare

la: halke halke chalo saanvare
pyaar ki mast havaaon mein
dil ko ye dar hai pahala safar hai
in alabeli raahon me

he: halke halke chala na jaaye
pyaar ki mast havaaon mein
jab tak hai dam chalo chalen ham
daal ke baahen baahon mein …

la: badhane lagi dil ki dhadakan
dol raha kyon mera tan man, haay mera tan man
he: tu hi bata chain kahaan jab laagi lagan
dil bhi hai teraa, jaan bhi hai teri
jab se basi ho nigaahon mein …

he: tu manzil main raahi tera
tere bina kya jeena meraa, kya jeena mera
la: toote kabhi na chhute kabhi ye saath piya
pyaar ki qasam, sang rahenge ham
neel gagan ki chhaanv mein …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *