Ham Un Ko Samajhate Hain Ummidon Ka Sahaara
(ham un ko samajhate hain ummidon ka sahaara
de-de koyi ja kar unhein paigaam hamaara) – 2
bedard hain kya samajhenge wo meri mohabbat – 2
aansu hai meri aankh ka tuuta huwa taara
de-de koyi ja kar unhein paigaam hamaara
ham un ko samajhate hain ummidon ka sahaara

o
(wo aankh bacha kar jo mere paas se guzare
ho
paas se guzare) – 2
dil ne unhein rah-rah ke kayi baar pukaara
de-de koyi ja kar unhein paigaam hamaara
ham un ko samajhate hain ummidon ka sahaara
de-de koyi ja kar unhein paigaam hamaara
o
(yaad aa gaya aise mein hamein milana kisi ka
milana kisi ka) – 2
jaata tha kahin duur koyi dard ka maara