Lyrics of song

Hamaraahi Daro Nahin Honge Kaamayaab

hamaraahi daro nahin honge kaamayaab – 2

mushkilein har qadam hain dagar-dagar
laakhon haath ek saath saath hain magar
duur hain manzilein kar na tu fikar
chir ke andheri raat laayenge aafataab

chal re milake chal, dhun baje magan
umad-ghumad kar chha rahe baadal
ab hamein to dard ka na kauf hai zara
ham hari-bhari banaayenge vasundhara
ab to na rukana ab to na thakana
mud ke dekho na
chukaana hai hamein to ab puraana har hisaab

alag-alag dharam, alag-alag karam
alag nahin hai ham, ek sab ka gam
mazahabon ke naam pe hamein lada diya
nafaraton se rishta pyaar ka mita diya
ab to na sahana, chup nahin rahana
tumako hai qasam
milake ab likhenge ham to ek nayi kitaab

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *