Lyrics of song

Hamein Koyi Gam Hai Tumhein Koyi Gam Hai

(hamein koyi gam hai tumhein koyi gam hai
muhabbat kar, zara nahin dar, kise kal ki kabar hai) – 2
hamein bhayi dar hai

(yahaan to gam ka saath hai
kushi ik jhuuthi baat hai) – 2
(utha nazaron ko bekabar
ajab jalawon ki raat hai) – 2
pahali nazar mein, dil mein jigar mein
jalawon ka rang bhar le

muhabbat kar, zara nahin dar, kise kal ki kabar hai
hamein bhayi dar hai

(hansi honthon pe kho gayi
jawaani hamako ro gayi) – 2
(balam kyuun duur jaaye tu
mohabbat mein hai zindagi) – 2
pahali nazar mein, dil mein jigar mein
jalawon ka rang bhar le

muhabbat kar, zara nahin dar, kise kal ki kabar hai
hamein bhayi dar hai

(zara koyi hamako thaamana
chhalak jaaye gam ka jaam na) – 2
(ganimat hai ye raat bhi
hai dil se dil ka saamana) – 2
pahali nazar mein, dil mein jigar mein
jalawon ka rang bhar le

muhabbat kar, zara nahin dar, kise kal ki kabar hai
hamein bhayi dar hai

(kahuun kya kaisi der hai
kushi ko dil se bair hai) – 2
(mohabbat kya hai baalama
dilon ka her-pher hai) – 2
pahali nazar mein, dil mein jigar mein
jalawon ka rang bhar le

muhabbat kar, zara nahin dar, kise kal ki kabar hai
hamein koyi gam hai tumhein koyi gam hai
muhabbat kar, zara nahin dar, kise kal ki kabar hai
hamein bhayi dar hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *