Har Ghadi Khudse Ulajhna
har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera – 2
main hi kashti hu mujhi mein hain samundar mera
har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera
ek se ho gaye mausamo ke chehre saare – 2
meri aankhon se kahi kho gaya manzar mera
har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera
kis se pootchu ke kaha gum hu kai barso se – 2
har jagah dhundhta hu phirta hain mujhe ghar mera – 2
har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera
muddatein ho gayi ek khwaab sunehra dekhe – 2
jaagta rehta hain har neend mein bistar mera – 2