Lyrics of song
Har Shaam Shaam-E-Gam Hai
har shaam shaam-e-gam hai
har raat hai andheri
apana nahin hai koyi
kya zindagi hai meri
gam sahate sahate gam ki
(tasavir ban gaya huun) – 2
ja ai bahaar-e-duniya
haalat na puuchh meri
kya zindagi hai meri
har shaam shaam-e-gam hai
saamaan-e-zindagi mein
(kuchh bhi nahin bacha hai) – 2
ek dard rah gaya hai
aur ek yaad teri
kya zindagi hai meri
har shaam shaam-e-gam hai
khushiyon ka ek din bhi
(aaya na zindagi me.n) – 2
pachhata raha huun main to
duniya mein aa ke teri
kya zindagi hai meri
har shaam shaam-e-gam hai