Lyrics of song

Har taraf ab yahi afsaane hain

Har taraf ab yahi afsaane hain
Ham teri aankho ke diwaane hain
Har taraf ab yahi afsaane hain…

Itni sachchaai hai in aankho mein
Khote sikke bhi khare ho jaaye
Tu kabhi pyaar se dekhe jo udhar
Sukhe jangal bhi hare ho jaaye
Baag ban jaaye, baag ban jaaye jo viraane hain
Ham teri aankho ke diwaane hain
Har taraf ab yahi afsaane hain…

Ek halka sa ishaara inka
Kabhi dil aur kabhi jaan lootega
Kis tarha pyaas bujhegi uski
Kis tarha uska nasha tootega
Jiski qismat mein, jiski qismat mein ye paimaane hain
Ham teri aankho ke diwaane hain
Har taraf ab yahi afsaane hain…

Neechi nazro mein hain kitna jaadu
Ho gaye pal mein kayi khwaab jawaan
Kabhi uthhne kabhi jhukne ki adaa
Le chali jaane kidhar jaane kaha
Raaste pyaar ke, raaste pyaar ke anjaane hain
Ham teri aankho ke diwaane hain -2
Har taraf ab yahi afsaane hain…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *