Lyrics of song

Hum Jaise Tanha

Jo puchhata hai koi surkh kyon hai aaj aankhen
To aankh malke main kehta hoon raat so na saka
Hazaar chaahu magar ye na keh sakunga kabhi
Ke raat rone ki khwahish thi magar ro na saka 

Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya – 2
Jab chaahanewala koi nahi – 2 phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya

Sau rang mein jisko socha tha, sau roop mein jisko chaaha tha – 2
Sau roop mein jisko chaaha tha
Wo jaane ghazal to rooth gayi ab uska haal sunaana kya – 2
Jab chaahanewala koi nahi – 2 phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya

Aawaaz kisiko de lekin ek naam tumhara honton par – 2
Ek naam tumhara honton par
Har shakal se ubharo tum hi tum yu khud ko magar behalaana kya  – 2
Jab chaahanewala koi nahi – 2 phir jeena kya marr jaana kya
Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya

Raaaton ka safar hai din ke liye aur dil mein tamanna raaton ki – 2
Aur dil mein tamanna raaton ki
Jab paon mein raaste kho jaaye phir rukna kya ghar jaana kya – 2
(Jab chaahanewala koi nahi – 2 phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya) – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *