Lyrics of song

Hum Kis Galin Ja Rahein Hain

hum kis galin ja rahein hain – 2
apana koyi thikaana nahin – 2

armaano ki anjuman mein besud hain apani lagan mein
apana koyi fasaana nahin – 2
ye yi ye yi ye yi ye…o o o o o o o… – 2

(ek ajnabi sa chehara, rehata hain meri nazar mein
ek dard aa ke thehara din raat darde jigar mein) – 2
jaagi hain kaisi talab si, ye aarajoo hain ajab si
lekin kisiko bataana nahin – 2
hum kis galin ja rahein hain – 2
apana koyi thikaana nahin – 2

(betaabiyaan hain pal pal chayaa ye kaisa nasha hai
khaamoshiyon mein sada hosh bhi gumshuda hai) – 2
dar dar ka ghumata hai, masti mein kyon jhumata hai
deewaane dil ne jaana nahin – 2
hum kis galin ja rahein hain – 2
apana koyi thikaana nahin – 4

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *