Lyrics of song

Hum Subha Ke Bhoolon Ko

Woh subah gaya, shaam talak ghar nahi aaya
Usse bhula hua kehdu mere dil mein nahi aaya
Main jisko poojta hoon, woh mujhko samaj kyun nahi aaya
Sajde mein hoon umar se, asar kyun nahi aaya

Hum subah ke bhoolon ko ptaa ghar ka bata de – 3 times
Ae shah kalandar hume tu jeena sikha de, ae shah kalandar hume tu jeena sikha de
Woh kaun si masti hai jise tune paa liya
Jise tune paa liya, jise tune paa liya
Hum par bhi thoda, thoda thoda
Hum par bhi thoda, thoda
Hum par bhi thoda sufiyon sa rang chada de, hum par bhi thoda sufiyon sa rang chada de
Hum subah ke bhoolon ko ptaa ghar ka bata de

Kehne ko bahut kuch hai, muh mein subaan bandh
Saans bandh, baat bandh, dil dimaag bandh
Ik doosre se darr ke sabhi ghar mein kaid hain
Kaam se bas kaam rakhenge kiwad bandh

Darvesh gaa raha hai
Mohabbat ke taraane, darvesh gaa raha hai
Mohabbat ke taraane
Ab tak nahi ruka fakir, ab tak nahi ruka fakir
Beetay zamaane, beetay zamaane
Hum bhi adhe hain zid par, hum bhi hain sayane
Hum bhi adhe hain zid par, hum bhi hain sayane
Humne to kar rakhe hain apne, humne to kar rakhe hain apne
Aakh kaan bandh, aakh kaan bandh

Rabba mere, maula mere ..
Tera hai dar, rabba mere
Khula hua, maula mere
Tera hai dar khula hua
Dil bhi khula hai
Bas tu hi jaanta hai kya, tujhko mila hai
Rabba mere, maula mere ..

Jo dekhta rehta hai tu, manzar woh dikha de
Baithe bithaye naachne ka, dangh sikha de
Baithe bithaye naachne ka, dangh sikha de
Hum par bhi thoda, thoda
Hum par bhi thoda, thoda
Hum par bhi thoda sufiyon sa rang chada de, hum par bhi thoda sufiyon sa rang chada de
Hum subah ke bhoolon ko ptaa ghar ka bata de, hum subah ke bhoolon ko ptaa ghar ka bata de

Mehnat mashakkaton ke niwale nahi rahe
Aankhein mila ke bol niwale nahi rahe
Ghar ke bujurgh saare gharon se nikal gaye
Baahar bhi ab woh paid puraane nahi rahe
Bhudi bali kahani ko ab kaun sunaye
Naani nahi rahi woh nawase nahi rahe
Sab keh rahe hain ya khuda kya waqt aa gaya
Roshni ke sir pe andhera sa cha gaya
Sab keh rahe hain ya khuda kya waqt aa gaya
Roshni ke sir pe andhera sa cha gaya
Dharm khatre mein hai usko bachaane nikle hain
Mazhabi log ab mazhab jataane nikle hain
Laal aa ke liye khanjar nikle hain
Na samaj log apna ghar jalaane nikle hain – 3 times
Rabba mere, maula mere ..

Ab to nazar, rabba mere
Karam ki hum par, maula mere
Ab to nazar karam ki hum par bhi tu ali kar
Hakk mein doa hamare bhi thodi si kabhi kar
Tauba ke baad phir gunah, phir se tauba phir se gunah
Sab kuch galat salat hai, nabi tu hi sahi kar
Rabba mere, maula mere ..

Nafrat se, adaawat se, burai se, badi se
Nafrat se, adaawat se, burai se, badi se
Kaise tune jeet li ye jung btaa de
Kaise tune jeet li ye jung btaa de
Hum par bhi thoda, hum par bhi thoda
Hum par bhi thoda, hum par bhi thoda
Hum par bhi thoda sufiyon sa rang chada de, hum par bhi thoda sufiyon sa rang chada de
Hum subah ke bhoolon ko ptaa ghar ka bata de, hum subah ke bhoolon ko ptaa ghar ka bata de
Hum subah ke bhoolon ko ptaa ghar ka bata de
Ae shah kalandar hume tu jeena sikha de, ae shah kalandar hume tu jeena sikha de
Hum par bhi thoda sufiyon sa rang chada de ..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *