Lyrics of song

Jaa Sajna Tujhko

-FEMALE–
Jaa sajna, tujhko bhula diya – 2
Vaada kiya hasaane ka mujhko rula diya
Jaa sajna, tujhko bhula diya – 2
Todke saari kasmon ko tune daga diya
Jaa sajna, tujhko bhula diya
Jaa jaa sajna, tujhko bhula diya
Patthar hai tera dil dil nahin
Is pyaar ke tu kaabil nahin
Teri ragon mein behti jafa
Tu kya karega mujhse vafa
Mujhko di hai tune voh gham
Bhooloongi na main tere sitam
Kya hai teri haqeeqat yeh tune bata diya
Jaa sajna, tujhko bhula diya – 2
Vaada kiya hasaane ka mujhko rula diya
Jaa sajna, tujhko bhula diya
Jaa jaa re jaa sajna, tujhko bhula diya

–MALE–
Mm, kaisi haalat hai meri, aa tujhe main bataaoon
Kya kahaani hai meri, aa tujhe main sunaaoon
Kaisi haalat hai meri, aa tujhe main bataaoon
Kya kahaani hai meri, aa tujhe main sunaaoon
Aa aa aa aa aa aa, aa aa aa aa, aa aa aa aa aa, aa aa aa
Aa aa aa aa aa, aa aa aa aa aa
Sab ki nazar mein yeh pyaar tha
Main raaste ki deewaar tha
Kisne yahan pe ki hai khata
Kisko mili hai uski saza
Sach kya hai yeh jab jaanegi tu
Meri vafa ko maanegi tu
Maine teri nafrat ko dil se laga liya

–FEMALE–
Jaa sajna, tujhko bhula diya
Jaa jaa re jaa sajna, tujhko bhula diya
Vaada kiya hasaane ka mujhko
Vaada kiya hasaane ka mujhko rula diya
Jaa sajna, tujhko bhula diya
Jaa jaa sajna, tujhko bhula diya
Jaa jaa re jaa sajna, tujhko bhula diya
Jaa sajna, tujhko bhula diya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *