Lyrics of song

Jaagi Badan Mein Jwala

aa…
jaagi jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala
jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala – 3
mana mana kar haari maane nahi man matwala
pari tune hasna chhodhi maine tujhe kitna jaana
jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala – 2

(aate jaate raahon mein chheda
inhi teri baaton se pada yeh bakheda) – 2
achhi di pehchhan tere do nainon ne – 2
arey ghayal kar di jaan tere do nainon ne
jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala – 2

(roothe meri aankhon se sapane
hue tere khwaab mein din the jo apane) – 2
apane pehle haal na aaisa dekha tha – 2
arey solah saal mein saal na aaisa dekha tha
jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala – 2

(tere liye raaton ko bhatku
aate jaate logon ki nazaron mein khatku) – 2
kaisi hulchul daali meri jawani mein – 2
arey zulmi tune aag laga di paani mein
jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala – 2
mana mana kar haari maane nahi manmatwala
pari tune hasna chhodhi maine tujhe kitna jaana
jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala – 3

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *