Lyrics of song

Jaana Hain Jaana Hain (Female)

jaana hain jaana hain
chalte hi jaana hain
na koi apna hain na koi thikana hain
sab raastein naraaz hain
manzil ki aahato se raahi begaana hain
jaana hain jaana hain
chalte hi jaana hain
sab raastein naraaz hain
manzil ki aahato se raahi begaana hain
jaana hain jaana hain
chalte hi jaana hain

har jagah rehtey hain saaye afsaano ke
apno se lagte hain chehre anjano ke
aake sehrao mein guchhe khil jaate hain
ajnabi modo pe apna mil jaata hain
rup is jeevan ka kisne pehchana hain
jaana hain jaana hain
chalte hi jaana hain

rang koi jaane na lamho ke mausam ka
ek pal khushiyo ka dusra pal gam ka
kar yakeen kar le yakeen socha na tu kalki
aaj ki parwah kar soch na tu kal ki
is gali se nikle phir wahi aana hain
jaana hain jaana hain
chalte hi jaana hain
na koi apna hain na koi thikana hain
sab raaste naraaz hain
manzil ki aahato se raahi begaana hain
jaana hain jaana hain
chalte hi jaana hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *