Lyrics of song

Jaanam Jaanam Tera Mera Pyar

jaanam jaanam tera meraa pyaar nayaa hai
giit puraanaa saaz nayaa hai
jaanam jaanam…

aaj kii har ghadii rup mein ik nayaa nikhaar leke aaii hai
raat kii chaandanii zindagii mein ik nai bahaar leke aaii hai
kudarat ne khole hain aakhon ke raaj naye
jaanam jaanam…

jharanon mein aaj nayaa giit hai
giiton mein pyaar kaa sangiit hai (2)
mahakii havaa ne chanchal fizaa ne (2)
tujh hii se siikhe hain aakhon ke raaj naye
jaanam jaanam…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *