Lyrics of song

Jaane Aaj Kya Huwa Aisa Kabhi Huwa Na Tha

jaane aaj kya huwa aisa kabhi huwa na tha
saanson mein ghule nasha jaisa kabhi ghula na tha
tumhin bolo kya karein aisa hoga pata na tha

mitha mitha dard sa uthe ang ang mein
jaage koyi aag si jine ki umang mein
hava se tape badan jaisa kabhi tapa na tha
saanson mein ghule nasha jaisa kabhi ghula na tha
tumhin bolo kya karein aisa hoga pata na tha

chhaaya chhaaya duur tak rangon ka gubaar hai
aisa to na tha jahaan ho na ho ye pyaar hai
kvaabon ka sama saja jaisa kabhi saja na tha
saanson mein ghule nasha jaisa kabhi ghula na tha
tumhin bolo kya karein aisa hoga pata na tha

jaane aaj kya huwa…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *