Lyrics of song

Jab Yaad Ki Badali Chhati Hai

(jab yaad ki badali chhaati hai
tab aankh meri bhar aati hai) -3

mujhe sulaane ki khaatir raat bhi thak-thak jaati hai  -2
par neend meri to
par neend meri to pagali thaharee, tere ghar tak jaati hai
jab yaad ki badali …

tu kya tera vaada kya har baat teri sharmaati hai  -2
pat mit jaayenge
par mit jaayenge pyaar mein ham, ye dil ki agan bataati hai
jab yaad ki badali …

chaar deevaari mandir kee, yaad teri doharaati hai  -2
par khaali mandir, o
par khaali mandir mein pooja to man ki thakan badhaati hai
jab yaad ki badali …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *